Tuesday, October 20, 2015

Rote hai teri yaad mein, iske siwa hum kya karen - Lyrics (Chandan Das)

A very touching ghazal from a pained heart. Simply superb - Shri Chandan Das from album Ishq

Here's the video and lyrics.

Rote hai teri yaad mein, iske siwa hum kya karen
Qismat mein hona tha juda, tujhse gila hum kya karen

Karke dua maanga tujhe, paakar magar khoya tujhe (2)
Maange khuda se aur kya koi dua hum kya kare
Qismat mein hona tha juda, tujhse gila hum kya karen
Rote hai teri yaad mein, iske siwa hum kya karen

Jab tak teri tasveer thi, pyaara tha dilka aayeena (2)
Jab too nahi tho dilruba yeh aaina hum kya kare

No comments: