Friday, October 30, 2015

Badnaam mere pyaar ka, afsaana hua hai - Lyrics (Shri Anup Jalota)

Singer: Shri Anup Jalota



Jashn purnam khareed sakta hu (2)
Zulfen barham khareed sakta hu
Tu apna banaade mujhko
Tera har gham khareed sakta hu

Badnaam mere pyaar ka, afsaana hua hai
Deewane bhi kehte hai ke, deewana hua hai

Rishta tha tabhi tho kisi bedard ne toda
Apna tha tabhi tho koi begaana hua hai
Deewane bhi kehte hai ke, deewana hua hai
Badnaam mere pyaar ka, afsaana hua hai
Deewane bhi kehte hai ke, deewana hua hai

Mausam ne banaaye hai, nigaahon ko sharaabi
Jis phool ko dekhu wahi paimaana hai
Deewane bhi kehte hai ke, deewana hua hai
Badnaam mere pyaar ka, afsaana hua hai
Deewane bhi kehte hai ke, deewana hua hai

Baadal ki tarha aake baras jaayiye ek din
Dil aapke hote hue veeraana hua hai
Deewane bhi kehte hai ke, deewana hua hai
Badnaam mere pyaar ka, afsaana hua hai
Deewane bhi kehte hai ke, deewana hua hai

No comments: