Friday, October 30, 2015

Badnaam mere pyaar ka, afsaana hua hai - Lyrics (Shri Anup Jalota)

Singer: Shri Anup Jalota



Jashn purnam khareed sakta hu (2)
Zulfen barham khareed sakta hu
Tu apna banaade mujhko
Tera har gham khareed sakta hu

Badnaam mere pyaar ka, afsaana hua hai
Deewane bhi kehte hai ke, deewana hua hai

Rishta tha tabhi tho kisi bedard ne toda
Apna tha tabhi tho koi begaana hua hai
Deewane bhi kehte hai ke, deewana hua hai
Badnaam mere pyaar ka, afsaana hua hai
Deewane bhi kehte hai ke, deewana hua hai

Mausam ne banaaye hai, nigaahon ko sharaabi
Jis phool ko dekhu wahi paimaana hai
Deewane bhi kehte hai ke, deewana hua hai
Badnaam mere pyaar ka, afsaana hua hai
Deewane bhi kehte hai ke, deewana hua hai

Baadal ki tarha aake baras jaayiye ek din
Dil aapke hote hue veeraana hua hai
Deewane bhi kehte hai ke, deewana hua hai
Badnaam mere pyaar ka, afsaana hua hai
Deewane bhi kehte hai ke, deewana hua hai

Different flavors of Aaj Jaane Ki Zid Na Karo - Lyrics

Begum Farida Khanum ji mesmerized the whole world of ghazal lovers by her 'Aaj Jaane Ki Zid Na Karo'. While no one can be compared to the original, here's a list of other masters singing this ghazal in their own styles. It just goes to show, how popular this ghazal is and how much it has influenced not just listeners, but also other famous singers.

Lyrics:

Aaj jaane ki zid na karo
Yun hi pehlu mein baithe raho
Haaye mar jaayenge hum to lut jaayenge
Aisi baatein kiya na karo
Aaj jaane ki zid na karo

Tum hi socho zara kyun na roke tumhe
Jaan jaati hai jab uth ke jaate ho tum
Tumko apni kasam jaan-e-jaan
Baat itni meri maan lo
Aaj jaane ki zid na karo
Haaye mar jaayenge hum to lut jaayenge
Aisi baatein kiya na karo

Waqt ki qaid mein zindagi hai magar
Chand ghadiyan yehi hain jo aazaad hain
Inko kho kar meri jaan-e-jaan
Umr bhar na taraste raho
Aaj jaane ki zid na karo
Haaye mar jaayenge hum to lut jaayenge
Aisi baatein kiya na karo
Aaj jaane ki zid na karo

Kitna masoom rangeen hain yeh sama
Husn aur ishq ki aaj meraaj hai
Kal ki kisko khabar jaan-e-jaan
Rok lo aaj ki raat ko
Aaj jaane ki zid na karo
Yun hi pehlu mein baithe raho
Aaj jaane ki zid na karo
Haaye mar jaayenge hum to lut jaayenge
Aisi baatein kiya na karo
Aaj jaane ki zid na karo

By Shri Anup Jalota:



By Shri Roopkumar Rathod:



By Shri Talat Aziz:



By Shri A R Rehman:



By Shri Shafqat Amanat Ali:



Here's an audio compilation too:
Aaj Jaane Ki Zid Na Karo audio compilation


Wednesday, October 21, 2015

Jab pyaar nahi hai toh, bhula kyun nahi dete - Lyrics (Ghazal)

A beautiful ghazal for broken hearts by Ahmed Hussain and Mohammed Hussein


jab pyaar nahi hai toh, bhula kyun nahi dete
khat kisliye rakhe hai, jala kyun nahi dete

kis vaaste likha hai, hatheli pe mera naam
mein harfe ghalat hu tho, mita kyun nahi dete
khat kisliye rakhe hai, jala kyun nahi dete

lillaaha shabo roz ki, ulthal se nikaalo
tum mere nahin ho tho, bata kyun nahi dete
khat kisliye rakhe hai, jala kyun nahi dete

reh rehke na tadpao, aye bedard maseeha
haathon se mujhe zehar, pila kyun nahi dete
khat kisliye rakhe hai, jala kyun nahi dete

jab iski wafaon pe yakin tumko nahi hai
hasrat ko nigahon se gira kyun nahi dete
khat kisliye rakhe hai, jala kyun nahi dete

jab pyaar nahi hai toh, bhula kyun nahi dete
khat kisliye rakhe hai, jala kyun nahi dete
jab pyaar nahi hai toh, bhula kyun nahi dete

Tuesday, October 20, 2015

Rote hai teri yaad mein, iske siwa hum kya karen - Lyrics (Chandan Das)

A very touching ghazal from a pained heart. Simply superb - Shri Chandan Das from album Ishq

Here's the video and lyrics.


Rote hai teri yaad mein, iske siwa hum kya karen
Qismat mein hona tha juda, tujhse gila hum kya karen
Rote hai teri yaad mein, iske siwa hum kya karen

Karke dua maanga tujhe, paakar magar khoya tujhe (2)
Maange khuda se aur kya koi dua hum kya kare
Qismat mein hona tha juda, tujhse gila hum kya karen
Rote hai teri yaad mein, iske siwa hum kya karen

Jab tak teri tasveer thi, pyaara tha dilka aayeena (2)
Jab too nahi tho dilruba yeh aaina hum kya kare
Qismat mein hona tha juda, tujhse gila hum kya karen
Rote hai teri yaad mein, iske siwa hum kya karen

Woh mujhe chodkar ghair ka hogaya - Lyrics (Chandan Das)

So so near to the feeling of a broken heart

Woh mujhe chodkar ghair ka hogaya
Bewafa kaun tha faisla hogaya

Hum jidhar bhi gaye sab ne poocha yahi
Kya waja thi jo woh bewafa hogaya
Woh mujhe chodkar ghair ka hogaya

Pehle bhi haadse tho hue the magar
Unme shaamil naya haadsa hogaya
Woh mujhe chodkar ghair ka hogaya

Zindagi bhar ki baate na hamse karo
Ek pal mein yahan kya se kya hogaya
Woh mujhe chodkar ghair ka hogaya

Raat gehri hai samanadar ki tarha - Lyrics (Ghazal)

A soul stirring ghazal by Shri Anup Jalota from album Kashish

Here's the video and lyrics of the ghazal. Hope you enjoy this.


Raat gehri hai samandar ki tarha (2)
Doobta jaatu hu pathar ki tarha
Raat gehri hai samandar ki tarha

Tumse milte hue dar lagta hai (2)
Kya chupa rakha hai khanjar ki tarha (2)
Doobta jaatu hu pathar ki tarha
Raat gehri hai samandar ki tarha

Waqt ne phek rakha hai mujhko (2)
Door toote hue saagar ki tarha (2)
Doobta jaatu hu pathar ki tarha
Raat gehri hai samandar ki tarha

Mein jahaan jaun yahi veeraani (2)
Saari duniya hai mere ghar ki tarha (2)
Doobta jaatu hu pathar ki tarha
Raat gehri hai samandar ki tarha

Wednesday, August 5, 2015

Rafta rafta woh hamaare dil ke mehmaan hogaye - Anup Jalota - Lyrics

Singer: Shri. Anup Jalota

rafta rafta woh hamaare dil ke mehmaan hogaye (2)
pehle dil, phir dilruba (2)
phir dilke armaan hogaye
rafta rafta woh hamaare dil ke mehmaan hogaye
pehle dil, phir dilruba
phir dilke armaan hogaye
aa aa aa aa....

rafta rafta husn nikhara, aur mikharta hi gaya (2)
aur nikharta hi gaya
pehle gul, phir gulbadan, phir gulbadaama hogaye
rafta rafta woh hamaare dil ke mehmaan hogaye
pehle dil, phir dilruba
phir dilke armaan hogaye
aa aa aa aa....

rafta rafta unki aankhon ka nasha badhne laga (2)
badhne laga
pehle mai, phir maikada, phir mai ka toofan hogaye
rafta rafta woh hamaare dil ke mehmaan hogaye
pehle dil, phir dilruba
phir dilke armaan hogaye
aa aa aa aa....