Thursday, February 28, 2008

Tere baare mein jab socha nahin tha

This is another gem of a ghazal from Jagjit Singh
Album- Saher
Lyrics by Gulzar

tere baare mein jab socha nahin tha
mein tanha tha magar itna nahin tha-2
tere baare mein jab socha nahin tha-2

teri tasveer se karta thaa baatein-2
mere kamre mein aayina nahin tha-3
mein tanha tha magar itna nahin tha
tere baare mein jab socha nahin tha

samandar ne mujhe pyaasa hi rakha-2
mein jab sehra mein thaa pyaasa nahin tha-3
mein tanha tha magar itna nahin tha
tere baare mein jab socha nahin tha

manaane rooth ne ke khel mein hum-2
bichad jaayenge ye socha nahin tha-3
mein tanha tha magar itna nahin tha
tere baare mein jab socha nahin tha

suna hai bandh kar li usne aankhen-2
kai raaton se wo soya nahin tha-3
mein tanha tha magar itna nahin tha
tere baare mein jab socha nahin tha-2

No comments: