Wednesday, August 5, 2015

Rafta rafta woh hamaare dil ke mehmaan hogaye - Anup Jalota - Lyrics

Singer: Shri. Anup Jalota

rafta rafta woh hamaare dil ke mehmaan hogaye (2)
pehle dil, phir dilruba (2)
phir dilke armaan hogaye
rafta rafta woh hamaare dil ke mehmaan hogaye
pehle dil, phir dilruba
phir dilke armaan hogaye
aa aa aa aa....

rafta rafta husn nikhara, aur mikharta hi gaya (2)
aur nikharta hi gaya
pehle gul, phir gulbadan, phir gulbadaama hogaye
rafta rafta woh hamaare dil ke mehmaan hogaye
pehle dil, phir dilruba
phir dilke armaan hogaye
aa aa aa aa....

rafta rafta unki aankhon ka nasha badhne laga (2)
badhne laga
pehle mai, phir maikada, phir mai ka toofan hogaye
rafta rafta woh hamaare dil ke mehmaan hogaye
pehle dil, phir dilruba
phir dilke armaan hogaye
aa aa aa aa....

Bas yahi soch ke tumse nazar mila li hai - Anup Jalota - Lyrics


Singer: Shri. Anup Jalota
Album: Kashish

bas yahi soch ke tumse nazar mila li hai (2)
naye zakhmon ke liye dil me jagah khaali hai (2)
bas yahi soch ke tumse nazar mila li hai

bewafa kehke mujhe usne bhari mehfil me (2)
jaane kis baat ki yeh dushmani nikaali hai
naye zakhmon ke liye dil me jagah khaali hai
bas yahi soch ke tumse nazar mila li hai

log deewaana samajhte hai tere aashiq ko (2)
dil lagaane ki, bahut khoob sazaa paa li hai
naye zakhmon ke liye dil me jagah khaali hai
bas yahi soch ke tumse nazar mila li hai

woh mujhe phir se bulaatha hai wahi par dekho (2)
mein na jaunga, jahan kab ki kasam khaali hai
naye zakhmon ke liye dil me jagah khaali hai
bas yahi soch ke tumse nazar mila li hai

Teri gali se hum jo achaanak guzar gaye - Anup Jalota - Lyrics


Singer: Shri. Anup Jalota
Album: Kashish

teri gali se hum jo achaanak guzar gaye
teri gali se hum jo achaanak guzar gaye
jo zakhm bhar chale the woh phir se ubhar gaye
teri gali se hum jo achaanak guzar gaye

woh kya hamaara saath kadi dhoop mein denge
woh kya hamaara saath kadi dhoop mein denge
jo chaandni mein apne hi saaye se dar gaye
jo zakhm bhar chale the woh phir se ubhar gaye
teri gali se hum jo achaanak guzar gaye

ashqo ne rakhliya hai tere pyaar ka bharam
ashqo ne rakhliya hai tere pyaar ka bharam
daaman pe aa rahe the magar phir theher gaye
jo zakhm bhar chale the woh phir se ubhar gaye
teri gali se hum jo achaanak guzar gaye

woh jurm jis mein dono baraabar ke the shareeq
woh jurm jis mein dono baraabar ke the shareeq
ilzaam jitne the woh hamaare hi sar gaye
jo zakhm bhar chale the woh phir se ubhar gaye
teri gali se hum jo achaanak guzar gaye