Tuesday, March 4, 2008

Lambi judai, chaar dinon da pyaar

Lambi Judai..............
This song by Reshma is one of my all time favourites.
Movie: Hero

Bichhde bhi to hum bas kal parson
Jioongi main kaise, is haal mein barson
Maut na aayi teri yaad kyon aayi
Haay lambi judai
Chaar dinon da pyaar ho rabba
Badi lambi judai, lambi judai
Honthon pe aaye meri jaan duhai
Haay lambi judai
Chaar dinon da pyaar ho rabba
Badi lambi judai, lambi judai

Ek to sajan mere paas nahin re
Duje milan di koi aas nahin re -2
Uspe yeh sawan aaya -2
Aag lagaayi, haay lambi judai
Chaar dinon da pyaar ho rabba
Badi lambi judai, lambi judai

Toote zamaane tere haath nigode, haath nigode
Dil se dilon ke tune sheeshe tode, sheeshe tode
Hijr ki oonchi, hijr ki oonchi deevaar banaayi
Haay lambi judai
Chaar dinon da pyaar ho rabba
Badi lambi judai, lambi judai

Baag ujad gaye, baag ujad gaye khilne se pehle
Panchhi bichhad gaye milne se pehle -2
Koyal ki kook, koyal ki kook ne hook uthaayi
Haay lambi judai
Chaar dinon da pyaar ho rabba
Badi lambi judai, lambi judai
Honthon pe aayi meri jaan, duhai
Haay lambi judai
Chaar dinon ka pyaar ho rabba
Badi lambi judai, lambi judai

Friday, February 29, 2008

Tadap Tadapke Is Dil Se Aah Nikalti Rahi Hai

Great song by Dominique, Kay Kay from
Movie: Hum Dil De Chuke Sanam
Actors: Aishwarya Rai, Ajay Devgan, Salman Khan

Bejaan Dil Ko Tere Ishq Ne Zinda Kiya
Phir Tere Ishq Ne Hi Is Dil Ko Tabah Kiya

Tadap Tadapke Is Dil Se Aah Nikalti Rahi Hai
Mujhko Saza Di Pyaar Ki Aisa Kya Gunaah Kiya
To Lut Gaye Haan Lut Gaye
To Lut Gaye Hum Teri Mohabbat Mein

Tadap Tadapke Is Dil Se Aah Nikalti Rahi Hai
Mujhko Saza Di Pyaar Ki Aisa Kya Gunaah Kiya
To Lut Gaye Haan Lut Gaye
To Lut Gaye Hum Teri Mohabbat Mein

Tadap Tadapke Is Dil Se Aah Nikalti Rahi Hai
Mujhko Saza Di Pyaar Ki Aisa Kya Gunaah Kiya
To Lut Gaye Haan Lut Gaye
To Lut Gaye Hum Teri Mohabbat Mein

Tadap Tadapke Is Dil Se Aah Nikalti Rahi Hai
Mujhko Saza Di Pyaar Ki Aisa Kya Gunaah Kiya
To Lut Gaye Haan Lut Gaye
To Lut Gaye Hum Teri Mohabbat Mein

Ajab Hai Ishq Yaara
Pal Do Pal Ki Khushiyaan
Gam Ke Khazaane Milte Hain
Milti Hai Tanhaiyaan
Kabhi Aansoon Kabhi Aahein
Kabhi Shikve Kabhi Naalein
Tera Chehra Nazar Aaye
Tera Chehra Nazar Aaye Mujhe Din Ke Ujaalon Mein
Teri Yaadein Tadpayein
Teri Yaadein Tadpayein Raaton Ke Andheron Mein
Tera Chehra Nazar Aaye
Machal Machalke Is Dil Se Aah Nikalti Rahi Hai
Mujhko Saza Di Pyaar Ki Aisa Kya Gunaah Kiya
To Lut Gaye Haan Lut Gaye
To Lut Gaye Hum Teri Mohabbat Mein

Agar Mile Khuda To
Poochhoonga Khudaaya
Jism Mujhe Deke Mitti Ka
Sheeshe Sa Dil Kyon Banaya
Aur Us Pe Diya Fitrat
Ke Woh Karta Hai Mohabbat
Wah Re Wah Teri Kudrat
Wah Re Wah Teri Kudrat Us Pe De Diya Kismat
Kabhi Hai Milan Kabhi Furqat
Kabhi Hai Milan Kabhi Furqat Hai Yehi Kya Vo Mohabbat
Wah Re Wah Teri Kudrat
Sisak Sisakke Is Dil Se Aah Nikalti Rahi Hai
Mujhko Saza Di Pyaar Ki Aisa Kya Gunaah Kiya
To Lut Gaye Haan Lut Gaye
To Lut Gaye Hum Teri Mohabbat Mein

Tadap Tadapke Is Dil Se Aah Nikalti Rahi Hai
Mujhko Saza Di pyaar Ki Aisa Kya Gunaah Kiya
To Lut Gaye Haan Lut Gaye
To Lut Gaye Hum Teri Mohabbat Mein

Thursday, February 28, 2008

Tere baare mein jab socha nahin tha

This is another gem of a ghazal from Jagjit Singh
Album- Saher
Lyrics by Gulzar

tere baare mein jab socha nahin tha
mein tanha tha magar itna nahin tha-2
tere baare mein jab socha nahin tha-2

teri tasveer se karta thaa baatein-2
mere kamre mein aayina nahin tha-3
mein tanha tha magar itna nahin tha
tere baare mein jab socha nahin tha

samandar ne mujhe pyaasa hi rakha-2
mein jab sehra mein thaa pyaasa nahin tha-3
mein tanha tha magar itna nahin tha
tere baare mein jab socha nahin tha

manaane rooth ne ke khel mein hum-2
bichad jaayenge ye socha nahin tha-3
mein tanha tha magar itna nahin tha
tere baare mein jab socha nahin tha

suna hai bandh kar li usne aankhen-2
kai raaton se wo soya nahin tha-3
mein tanha tha magar itna nahin tha
tere baare mein jab socha nahin tha-2

Milkar Juda Hue Tho, Na Soya Karenge Hum - Lyrics

This is a very soulful song by Jagjit and Chitra Singh.

You can listen to the song here:
http://ww.smashits.com/music/ghazals/songs/5511/jagjit-forever.html

Lyrics:

milkar juda hue tho, na soya karenge hum
ek doosre ki yaad mein roya karenge hum

aansoon chalak chalak ke sataayenge raat bhar
moti palak palak mein piroya karenge hum
ek doosre ki yaad mein roya karenge hum

jab dooriyon ki aag dilon ko jalaayegi
jismon ko chandni mein bhigoya karenge hum
ek doosre ki yaad mein roya karenge hum

gar degaya daga hamein toofan bhi qateer
saahil pe kashtiyon ko duboyaa karenge hum
ek doosre ki yaad mein roya karenge hum

Khelne Ke Vaaste Ab Dil Kisi Ka Chaahiye - Lyrics

This is a great ghazal sung by the sweet voiced Chandan Das.

Available to listen here:
http://ww.smashits.com/music/ghazals/songs/2199/best-of-chandan-dass.html

Lyrics:

khelne ke vaaste, ab dil kisi ka chaahiye
umr aisi hai ke, tumko, ek khilona chaahiye

mujhko kahiye, haath mein mehendi lagaana hai agar
khoone dil doon ya ke phir, khoone tamanna chaahiye
umr aisi hai ke, tumko, ek khilona chaahiye

bazm mein aao kisi din, karke tum sola singaar
ek qayamat, waqt se pehle bhi aana chaahiye
umr aisi hai ke, tumko, ek khilona chaahiye

tum kaho tho, mar bhi jaoon mein magar, ek sharth hain
bas kafan ke vaaste, aanchal tumhaara chahiye
umr aisi hai ke, tumko, ek khilona chaahiye

kal talak tha dil zuroori, raahe ulfat mein muraad
aaj ke is daur mein, chandi-o-sona chaahiye
umr aisi hai ke, tumko, ek khilona chaahiye